Kisliyae

Jin ke paaon me jannat unse hi nafrat kyun
Banta sansar hai unhi se
In ke hisse me saare dardon ka toofan kyun
Roshan ghar aangan hai inhi se
Bheegi bheegi palkein sehmi si naazuk si dhadkan kehti hai lene do janam
Ye hai dua dua na samjho bad’dua na maaro yu kokh me adhure me… (2)
Kis liye kis liye bojh hain betiyan kis liye
Kis liye kis liye in pe sitam kis liye
Ragon me jo inki daud raha hai khoon wo tumhari ragon ne diya hai
Dabi dabi saansein puch rahi hain aisa humne gunah kya kiya hai
Baksh do inko yehi iltaja hai jeene do jeene do
Ye kaliyan baghban ho tum
na kuchlo is tarah se tum
khilne do khilne do
Kis liye kis liye ghut’ti hain betiyan kis liye
Kis liye kis liye ruth’ti hain betiyan kis liye
Nanhi si ye pariyan chalna chahein
Ungali thame tumhare hi sang me
Choti choti baahein rangna chahein
Dekho khud ko zamaane ke rang me
Baksh do in ko ye hi iltaja hai jeene do jeene do
Ye kaliyan bagban hai……