top of page
Jazim7.jpg

Guzar Jayega

Jazim Sharma

< Back

Enjoy Guzar Jayega by Jazim Sharma & Amitab Bachchan+49 Artist, a soulful melody from the album Guzar Jayega. Composed by Jazim Sharma , written by Siddhant Kaushal. A masterpiece in the Indie Pop genre, sung in Hindi, Presented by Ampliify Times.

official video

digital platforms

listen now



Guzar Jayega Lyrics Penned by Siddhant Kaushal

Amitabh Bachchan - Guzar jayega guzar jayega
Mushqil bahut hai magar waqt hi toh hai
Guzar jayega guzar jayega
Zinda rehne ka yeh jo jazba hai phir ubhar aayega
Guzar jayega guzar jayega
Maana maut chehra badalkar aayi hai - 2
Maana raat kaali hai bhayaawah hai gehraai hai
Log darwaazon pe raston pe ruke baithe hai - 2
Kai ghabraye hain sahme hain chhipe baithe hai
Magar yakeen rakh..
Magar yakeen rakh yeh bas lamha hai
Do pal mein bikhar jayega
Zinda rehne ka yeh jo jazba hai phir asar layega
Mushqil bahut hai magar waqt hi toh hai
Guzar jayega guzar jayega

Bin kahe kabhi na kabhi haqeeqat leti hai imtihaan
Par khare utarne ki naseehat deti bhi toh hai haan
Udhda jo pada saahas ye sil jayega
Dekhte hi dekhte.. Raakh se tu khil payega
Guzar jayega guzar jayega
Bandeya yeh samaan guzar jayega
Guzar jayega guzar jayega
Bebasi ka makaan guzar jayega
Guzar jayega guzar jayega
Bandeya yeh samaan guzar jayega
Amitabh Bachchan - Baazar khaali sadkein sooni mohalle veeran hain - 2
Khauf barpa hai, har taraf log hairaan hain
Yeh woh kehar hai jo duniya ko daraane aaya
Yeh woh kehar hai jo duniya ko daraane aaya
Magar nasamajh hai jo insaan ko haraane aaya
Itihaas gavaah hai yeh maslaa bhi sulajh jayega
Itihaas gavaah hai yeh maslaa bhi sulajh jayega
Zinda rehne ka yeh jo jazba hai gum hua hai toota nahin - 2
Yahi jazbaa phir asar layega phir ubhar aayega
Mushqil bahut hai magar waqt hi toh hai
Guzar jayega guzar jayega

Meelon door tak na koi raasta agar dikhe
Aise mein yakee kandhe hain dono jhuke
Teri haisiyat ki sareaam boli lagegi
har had kharch karke hi kamayega tu fateh
Hai badalta jab samay toh
raahein bhi hai badalti
Udhda jo pada saahas yeh sil jayega
Dekhte hi dekhte raakh se tu khil payega
Guzar jayega guzar jayega
Bandeya yeh samaan guzar jayega
Guzar jayega guzar jayega
Bebasi ka makaan guzar jayega
Pith karke na baith tu mushqil wall
Saai tere naal ae mil jaavega hall
Hausla nahin haarida hausla nahin haarida bandeya
Hausla nahin haarida bandeya
Ho jayega hall..

Pyaar-Bepanah.jpg

Jazim Sharma

Best Song of Jazim Sharma in Hindi Music, Top Indie Pop Jazim Sharma Songs, Jazim Sharma Songs, Guzar Jayega Album

More Related Tracks

bottom of page