wafaa karne se wo majbur ho jaye
to kya kijae
mohabaat rooh ka naasoor ho jaaye
to kya kijae
Raqeeb-e-jaan nazar ka noor ho jaaye
to kya kijae
ziyaa’n {Loss} dil ko agar manzoor ho jaaye
to kya kijae
wohi charche wohi qisse
mili’n ruswaiyaa’n humko
unhi’n qisson se wo mashoor ho jaaye
to kya kijae
khuda ko itna chahun to
khuda hojaega raazi
magar wo aur bhi magroor hojaaye
to kya kijae
use to khushbuo’n ka rehnuma
hona mayyasar tha
wo apni zaat mein mehsoor hojaye
to kya kijae